शनिवार, 10 सितंबर 2016

Facebook Par Fake ID Ka Kaise Pata Lagaye Puri Jankari Hindi Me


Facebook Par Fake ID Ka Kaise Pata Lagaye Puri Jankari Hindi Me


Facebook sabse badi social sites me se ek hai or lagbhag sabhi internet user ka facebok par account hota hi hai. Aap bhi facebook jarur use karte honge. par facebook ka ek kadwa sach ki facebook par bahut se ladke ladki ke naam se ID bana kar ladko ko is kadar bevkuf banate hai ki unki ek photo ya post par 1000ro likes or comments aate hai. Aur Aajkal to aise fake id walo ne facebook ko apna paise kamane ka jariya hi bana liya hai, Aapko kai jagah aise comments ya posts ya masseges mil jayenge ki Agr Mujhe Itne Rupaye Paytm / Recharge / Bank Account ke threw doge to me Itne din tak tumse baat karungi. And kai ladke padhe likhe aur samajhdar hone ke bavjood bhi unke jhase me fas jate hai. So in fake id se bachna bahut jaruri hai. Jisse aapke sath chiting na ho sake and koi aapko bevkoof na bana sake, Aaj is post me mai aapko btaunga ki facebook id ka originol ya fake ID hone ka pata kaise lagaya ja sakta hai.

Actually facebook par aaj kal fake ID sabse jyada banayi jati hai. Mujhe to lagta hai ki Facebook par India me Real se jyada to fake ID hai Aur iska name Facebook ki Jagah Fakebook ho jana Chahiye or iski wajah hai hum log unki photos par sabse jyada likes, comments and unhe masseges karte hai. agar hum unhe follow karna band kar de to log fake id banana apne aap hi band kr denge kuki jab unhe is kaam se koi fayda ni hoga to vo ye ku karenge.

 Facebook Par Likes Kaise Badhaye Jankari Hindi Me

Facebook Par Fake ID Ka Pata Kaise Lagate Hai?

Friends facebook par fake id se bachna bahut mushkil hai Isiliye  mai aapko batane ja raha hu ki Facebook Par Fake ID Ka Kaise Pata Lagaye Puri Jankari In Hindi. Isme mai aapko kuch aysi bate bta raha hu jinka pata hone par aap aasani se fake id ka pata kar sakte hai.

Step 1 Profile Photo Look ( see facebook profile Pic )

Agar kisi id par ek hi photo laga ho  ya fir wo copyright ho matlab ki Vo photo kisi aur jagah se save karke upload ki gayi ho to wo facebook account fake ho sakta hai. kyuki koi bhi fake id chalane wala apni asli photo accont par nahi lagayega. And koi bhi Real girl kisi dusre ki photo apni Profile pic par ku lagayegi.

2. Timeline Overview

Hume uski ID ka timeline check kare. uske photo, status, comments sab check kare. agar us id par faltu ke comment, photos, status post kiye gaye ho, or wo user lambe samay se beech beech me online nahi rahta ho to wo fake ID ho sakti hai.


3. Recent Activities

uski recent activities check kare. agar usne koi bhi facebook page like nahi kiya ho or na hi koi group join kar rakha ho to wo fake id ho sakta hai.

4. Many Friends (Big Friend list)

Agar uski friend List me bahut sare Friends ho to wo bhi fake id hota hai. Kyuki koi bhi Real Girl Itne Anjaan logo se dosti nhi krti hai. Bus fake id hi itne anjaan logo se dosti kar sakta hai. or wo id sirf bevkoof banane ke liye use ki jati hai.

5.  Check Profile Information

Aap uski id ki info check karo. agar us par puri jankari na ho, jaise school address, facebook link to wo fake id hai.

6. Birthday Date

Aapko uski birthday date check karni chahiye, jyadatar fake ID banane wale Birthday Date change krne me time waste krne ke liye Birthday Date koi special na daalakar 1/1/xxxx ya 31/12/xxxx type ki hi dal dete hai and Aisi bhi fake hoti hai.

7. Check Facebook Profile Mobile No. Mobile Number.

uski id par uske mobile number check karo. koi bhi ladki  ban kar id chalane wala apne number public nahi karta so us id par number na ho to wo fake id ho sakta hai. Aur agr profile par number daal rakhe ho to to aap khud hi un number par call krke bhi confirm kr sakte hai.

8. Facebook URL.

Har facebook user ka ek facebook url hota hai is type se. jise hum ek bar hi baar change kar sakte hai. Is URL ke threw koi bhi aapko Facebook par easily search kar sakta hai. Agar us url me us ladki ki jagah ladke ka naam ho to bhi wo fake id hai.

9.  Recent Post

Uski recent post check karo jaha uske friend request accept karne par uske dosto ke dwara post ki gayi hogi like as :- THANKS FOR ACCEPT MY FRIEND REQUEST... Vagairah - Vagairah. Agar in posts par jawab na diya gaua ho to wo fake id user hai.

10. Copyright Photos

Fake ID wale boys humesha google or dusri sites se copy ki gayi photo hi facebook par upload karte hai. agar uski timeline me bahut sari alag - alag ladkiyo ki photos hai to wo fake id hai.


Note :- Agar Itna sab kuch karne ke Bavjood bhi aapko uske baare me yah pata nahi chal pa raha hai ki vo fake id hai ya nahi to Me aapko ek aur sabse bada tareeka batata hu Fake ID ka pata karne ka, Aap uski profile par jo Image hai use google seach box me ja kar seach kijiye. Agar wohi photo google me ek se jada bar milti hai to wo id koi girl ki nahi kisi fake id user ki hi hai.

To Is Tarah In Sabhi Methods ( Tariko ) ko use krke Aap Fake ID ka Pata laga sakte hai. And Fake ID ke dwara aapko hone wale nuksaan And Dhokhe se bach sakte hai.


Ye Bhi Padhe :-


Facebook Par Apne Sabhi Friends Ko Ek Sath Group Me Kaise Add Kare

Facebook Par Likes Kaise Badhaye Jankari Hindi Me

Facebook Page Like Krne Ke Liye All Friends Ko Ek Click Me Invite Kaise Kare

फ्री में अपनी वेबसाइट (ब्लॉग) कैसे बनाऐं | How to Create Own Website (Blog) For Make Money Online

Facebook Par Fake ID Ka Kaise Pata Lagaye Puri Jankari Hindi Me


आशा है कि आपको यह पोस्ट पसंद आई होगी और आपके सारे Doubts clear हो गये होंगे अगर फिर भी आपके मन में कोई Doubt हो या मेरी कोई Help चाहिए तो Plz Comment Box में बता दीजिये मुझे भी आपकी Help करके बड़ी प्रसन्नता होगी

और अगर आपको यह पोस्ट पसंद आयी हो तो Plz इसे Facebook, Twitter and Google + पर  अपने दोस्तों के साथ भी शेयर कीजिये जिससे कि  वे भी इस पोस्ट का लाभ उठा सके

धन्यवाद !

1 टिप्पणी: